Monday, 31 August 2015

Kya dikhta hai, Andhera yaa Roshni?


Jahaan ek taraf hum ek janam ki khushi mana rahe the,
Wahin doosri taraf ek maran ke drishya ne humein hilaa diya.
Kehte hain ki ye janam maran ka chakra chalta hi rehta hai,
Zaroori bhi hai.
Ye to prakriti ka dastoor hai.
Par kya koi insaan akele marta hai?!
Uske saath marta hai…
Kuch rishte, kayi logon ki bhavishya aur anginath jazbaat.
Ise kya kahenge?
Prakriti ka dastoor? Bura waqt? Khota Naseeb?



Zindagi ki raah mein chalte chalte
Jab koi raah khatam ho jaati hai,
To hamare andar bhi kayi cheezein khatam hoti hain.
Hamare sapne, hamari umeed, haamara hausla,…
Ye haalaad aasaan nahi hai, bilkul bhi nahi.
Par hum shok manane mein magn hokar
Ye dekh hi nahi paate ki
Zindaiu ek nayi, haseen raah ki shuruvat mein
apni baahein khole khada hai!

P.S.: This is my first attempt at writing something in Hindi in a long time. I am sure there are a lot of errors. Please forgive me for that.

3 comments:

  1. Logo ke marne se rishte marte hai yaa rishto ke marne se log,
    Taqdir ka khel kahe yaa apne hi karmo ka bhog,
    Iss haalaat se guzarne wala aur samazdhar hai kehlata,
    Sach toh yahi hai ki aise waqt se kabhi bhi koi guzarna hi nahi chahta!!!

    ReplyDelete
  2. Rightly said KM! BTW you should start sharing your works with the world.

    ReplyDelete
  3. Hmm....Someday maybe!

    ReplyDelete